kuch un ki wafaon ne loota
Kuch un ki inayat maar gayi,
Hum raz-e-mohabat keh na saky
Chup rehne ki aadat maar gayi,
Dil ne bhi bahut majboor kiya
Milne bhi lakhon baar gaye,
Jee bhar k unhein na dekh sake
Aankhon ki sharafat maar gayi,
Wo kon hy jin ko jeeny ka
Pegham mohabat deti hai,
Hum ko tu zamane main ae dil
Be-dard Mohabat maar gayi,
donon se hi shikayat hai
Ilzam ab kis pr lagayen,
Kuch dil ne hamain barbaad kiya
Kuch apni qismat maar gayi.
No comments:
Post a Comment