Thursday, April 29, 2010

Na Main Pass Usko Bula Saka

Na Main Pass Usko Bula Saka
Na Main Dil ki Baat Suna Saka
Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diye
K Main Haath Tak Na Hila Saka

Mujhe kya khabar ki kya hua
Mujhe kitna ghehra khumar tha
Main khara tha us k hissar me
Meri ird gird ghoobar tha
Yunhi sochta raha Der talak
Magar usko kuch na bata saka
Na main pass usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka

Na hai Dushmani kisi Din se ab
Na hai Dosti kisi Raat se
Hai Bacha hi kiya jo woh le gaya
Mujhe cheen kar meri zaat se
ye Muqaam tha hi Ajeeb sa
k main khud ko bhi na Bacha saka
Na main paas usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka

Ye bhi theek hai k wo chal diya
Mujhe band raste pe chor kr
Ye bhi theek hai k na aayega
khabi Butt Anna ka wo tod kr
wo Judda bhi aise hua
k main koi Rasm bhi na Nibha saka
Na Main Pass Usko Bula Saka
Na Main Dil ki Baat Suna Saka
Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya
K Main Haath Tak Na Hila Saka

No comments:

Post a Comment